Mohsin Naqvi Poetry in Urdu Text
شاعرمحسن نقوی
تجھے اب کس لئے شکوہ ہے بچے گھر نہیں رہتے
جو پتے زرد ہو جائیں وہ شاخوں پر نہیں رہتے
تو کیوں بے دخل کرتا ہے مکانوں سے مکینوں کو
وہ دہشت گرد بن جاتے ہیں جن کے گھر نہیں رہتے
جھکا دے گا تیری گردن کو یہ خیرات کا پتھر
جہاں میں مانگنے والوں کے اونچے سر نہیں رہتے
یقیناً یہ رعایا بادشاہ کو قتل کر دے گی
مسلسل جبر سے محسن دلوں میں ڈر نہیں رہتے
Poet:Mohsin Naqvi
Tujhe ab kis liye shikwah hai bachay ghar nahi rehtay
Jo pattay zard ho jayen woh shaakhon par nahi rehtay
To kyun be dakhal karta hai makanon se makeeno ko
Woh dehshat gard ban jatay hain jin ke ghar nahi rehtay
Jhuka day ga teri gardan ko yeh khairaat ka pathar
Jahan mein mangnay walon ke ounchay sir nahi rehtay
Yaqeenan yeh reaya badshah ko qatal kar day gi
Musalsal jabar se mohsin dilon mein dar nahi rehtay