Qateel Shifai Best Poetry
Poet:Qateel Shifai
چارہ گرِ دلِ بے تاب, کہاں آتے ہیں
مجھ کو خوش رہنے کے آداب کہاں آتے ہیں
میں تو یک مُشت اسے سونپ دوں سب کچھ لیکن
ایک مٹھی میں میرے خواب کہاں آتے ہیں
مدتوں بعد اسے دیکھ کے دل بھر آیا
ورنہ صحراؤں میں یہ سیلاب کہاں آتے ہیں
میری بے درد نگاہوں میں اگر بھولے سے
نیند آئی بھی تو اب خواب کہاں آتے ہیں
تنہا رہتا ہوں میں دن بھر بھری دنیا میں قتیلؔ
دن برے ہوں تو پھر احباب کہاں آتے ہیں
شاعرقتیل شفا ئی
Charah gir dil e be taab, kahan atay hain
Mujh ko khush rehne ke aadaab kahan atay hain
Mein to yak masht usay saump dun sab kuch lekin
Aik muthi mein mere khawab kahan atay hain
Muddaton baad usay dekh ke dil bhar aaya
Warna sahraoon mein yeh selaab kahan atay hain
Meri be dard nigahon mein agar bhoolay se
Neend aayi bhi to ab khawab kahan atay hain
tanha rehta hon mein din bhar bhari duniya mein قتیلؔ
din buray hon to phir ahbaab kahan atay hain