Wasi Shah poetry love
Poet : Wasi Shah
کل ہمیشہ کی طرح اس نے کہا یہ فون پر
میں بہت مصروف ہوں مجھ کو بہت سے کام ہیں
اس لیے تم آؤ ملنے میں تو آ سکتی نہیں
ہر روایت توڑ کر اس بار میں نے کہہ دیا
تم جو ہو مصروف میں بھی بہت مصروف ہوں
تم جو ہو مشہور تو میں بھی بہت معروف ہوں
تم اگر غمگین ہو میں بھی بہت رنجور ہوں
تم تھکن سے چور تو میں بھی تھکن سے چور ہوں
جان من ہے وقت میرا بھی بہت ہی قیمتی
کچھ پُرانے دوستوں نے ملنے آنا ہے ابھی
میں بھی اب فارغ نہیں مجھ کو بھی لاکھوں کام ہیں
ورنہ کہنے کو تو سب لمحے تمھارے نام ہیں
میری آنکھیں بھی بہت بوجھل ہیں سونا ہے مجھے
رتجگوں کے بعد اب نیندوں میں کھونا ہے مجھے
میں لہو اپنی اناؤں کا بہا سکتا نہیں
تم نہیں آتی تو ملنے میں بھی آ سکتا نہیں
اس کو یہ کہہ کر وصی میں نے ریسیور رکھ دیا
اور پھر اپنی انا کے پاؤں پے سر رکھ دیا
شاعروصی شاہ
kal hamesha ki terhan is ne kaha yeh phone par
mein bohat masroof hon mujh ko bohat se kaam hain
is liye tum aao milnay mein to aa sakti nahi
har riwayat toar kar is baar mein ne keh diya
tum jo ho masroof mein bhi bohat masroof hon
tum jo ho mashhoor to mein bhi bohat Maroof hon
tum agar ghamgeen ho mein bhi bohat ranjoor hon
tum thakan se chor to mein bhi thakan se chor hon
jaan mann hai waqt mera bhi bohat hi qeemti
kuch purane doston ne milnay aana hai abhi
mein bhi ab farigh nahi mujh ko bhi lakhoon kaam hain
warna kehnay ko to sab lamhay tumhare naam hain
meri ankhen bhi bohat boujhal hain sona hai mujhe
ratjagoon ke baad ab neendon mein khona hai mujhe
mein lahoo apni anaoo ka baha sakta nahi
tum nahi aati to milnay mein bhi aa sakta nahi
is ko yeh keh kar wasii mein ne receiver rakh diya
aur phir apni anaa ke paon pay sir rakh diya